Shaam Simti (Acoustic) Lyrics – Amartya Bobo ft. Lagnajita

Shaam Simti (Acoustic)

Shaam Simti is sung by Amartya Bobo Rahut and Lagnajita Chakraborty. Shaam Simti lyrics is written by Amartya Bobo Rahut, Niket Pandey.

Amartya Bobo Rahut

Tere bin ye ghar tanha sa
Tere bin bistar bhi bada sa
Tere bin khidki hai sooni
Tere bin jaise waqt ruka sa hai

Tere bin har baat hai bojhal
Tere bin veerana hai dil
Tere bin pardey bhi chup hain
Tere bin aankhon mein chaaya dhuaan sa hai

Har koney baithi khamoshi royi to hasi aayi
Aahat teri aati rehti par tu hi nahi aayi

Kabhi boondein
Kabhi lehrein
Bheegein koi baarishon mein
To lagta hai ke tum ho

Shaam simti
Koney mein khadi
Kahin koi baat uljhi si hai
Dhoondun bewajah jeene ki wajah

Shaam simti
Koney mein khadi
Kahin koi raat utri si hai
Dhoondun bewajah jeene ki wajah

Lipti hai raaton se karwate
Bikhri hai yaadon mein silwate
Sirhaane teri khushboo hai

Gumsum sa lamha hain khoya khoya
Aansoon ye taare hai chaand roya
Tooti choodi se judi tu

Kabhi ye subah
Kabhi ye hawa
Kadmon ke raet pe
Jo nishaan hai wo tum ho

Shaam simti
Koney mein khadi
Kahin koi baat uljhi si hai
Dhoondun bewajah jeene ki wajah

Shaam simti
Koney mein khadi
Kahin koi raat utri si hai
Dhoondun bewajah jeene ki wajah

CREDITS:

Performed : Amartya bobo rahut, lagnajita chakraborty

Written : Amartya bobo rahut, niket pandey

Produced : Amartya bobo rahut

Source: Amartya bobo rahut

IMAGE SOURCE: 

YOUTUBE.

Instagram:

You may also like...