Jaadoogari Lyrics – Anand Bhaskar Collective

Jaadoogari - Anand Bhaskar Collective
Anand Bhaskar Collective

Hai iss qadar ishq bekaayda
Ye samjho nahin toh nahi faayda
Kabhi abr sa, besabr sa
Kabhi baarishon sa sharaarat bharaa

Kab ye lage na kisi ko pataa
Na jaane hai koi yeh kaisi balaa
Kabhi be-adab, kabhi be-sabab
Kabhi jashn hai aur kabhi hai sazaa

Hai be-akal, be-shakal, be-fikar ye
Gehra yeh jaise samandar
Dikhta nahi hai yeh mehsoos hota
Hai ishq aisa ik manzar

Kaisi alag si hai ye paheli
Kaisi gazab si ye jaadoogari
Kaisi ajab si hai ye paheli
Jaise ufaq pe udan tashtari.

Afvaah udaate hain kisse kahaani
ke rang-e-ishq hai surkh sa
Kambakht sa ye, madmast sa yeh,
hai ishq yeh, sharir hai badaa
Hai marz yeh laailaaj
Hai yeh mohabbat, mere yaar

Sunta kisi ki na, karta yeh khud ki
Hai ishq aisa bawander
Dikhta nahi hai yeh mehsoos hota
Hai ishq aisa ik manzar

Kaisi alag si hai ye paheli
Kaisi gazab si ye jaadoogari
Kaisi ajab si hai ye paheli
Jaise ufaq pe udan tashtari (X2)

CREDITS:

Performed by : Anand bhaskar collective

writter : Anand bhaskar, Anand bhaskar collective

IMAGE SOURCE: 

YOUTUBE.

INSTAGRAM:

You may also like...